Menu
blogid : 17915 postid : 795258

yadon ke deepak

kahi-ankahi
kahi-ankahi
  • 6 Posts
  • 1 Comment

Har saal ki tarah is saal bhi deepawali ki salaana safai shuru ki hai. Kapade ki paraton mein sahej kar rakhi kuchh yadein hain. Samay ki dhool unhen dhunla kar deti hai. Par har saal in dino gard ko hata kar smriti pat ko chamkata pa ek sukhad anubhuli hoti hai. Television par vigyapan aata hai, sab bech dalo. Ghar ko saaf karo aur naya kharido. Parantu har cheez ka mol nahin hota. Maan ke hath ka buna sweater, khuj shwet shyam chitra, uphaar, puraskar. Khuchh khone ki tees aur madhur palon ka sùkhad ahsas. Aapadhapi ke yug mein koi aage badh gaya, kisi ko hamne chhod diya aur kuchh apnon ne chir vida lee. Aaj vismrit ahsason ke sath phir se milna hua. Atah aaj man ki deepawali hai jismein yadon ke deep jalaye jeeven ki dhara mein bahte hue waqt tham gaya hai. Kal phir daud dhoop shuru ho jayegi. Ahsason par utsav ke ullas ka vark lag jayega. Jeevan ki gati teevr hogi aur man chanchal. Bas kuchh ahsaas, jo dewali ke pahle hamei chhoo kar chale jaate hain. Aansuon ka namak hai aur muskan ki mithas. Is Deepawali bhi main kuch pheink nahi payi. Sab samet ka rakh diya.

Tags:   

Read Comments

    Post a comment

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *

    CAPTCHA
    Refresh